Guzra Howa zamana(Naseer Ul Deen Naseer) | Orat ki Shorat | Dill Lagi



 1..guzra Howa zamana(Naseer_Ul_Deen Naseer)


On k andaz_e_karam on py ana dill ka 

Hey! Wo waqt wo batian wo zamana dill ka 


Na suna os ne tavaja se fassana dill ka 

Zindgi guzri magr Dard na ana dill ka 


Kuch niay bat naih hussan py ana dill ka 

Mashgala ha yeh naihayat he porana dill ka 


Wo mubhat ki shurat wo be_taha Khushi 

Daikh kr on ko wo phoolay na samana dill ka 


Dill lagi dill ki lagi ban k MITA dati ha 

Rog_e_dushman ko b ya rab na lagana dill ka 


Hoy to Mary moqadar ko begara os ne 

Or phir os py ghazab Hans k banana dill ka 


Mary pahalo ma naih ap ki mothi ma naih

Be thekana ha bhot din se thekana dill ka 


Wo b apnay na hoy dill b gaya hatho se 

Asy anay se to bethar tha na ana dill ka 


Khob han ap bhot khob magr yad rahy 

Zaib deta naih aiso ko satana dill ka 


Be jajak a k millo Hans k milio ankhain

Aio ham tom ko sekhatay han Milana dill ka 


Hasrtian khak howii miiit gay arman sary

Loot gaya kocha_e_jana ma khazana dill ka 


Lay Chala ha Mary pahalo se basad_e_shook Koy

Ab to momkin naih loat k ana dill ka 


On ki mehfil ma naseer on k tabsoom ki kasm 

Dakhaty rah gay ham hath se Jana dill ka 

___________________________________

2..Orat ki shorat


Agr bazam_e_hasti ma orat na Hoti 

Khalio ki rangeen jannat na Hoti 


Sataroo k dill Kash fassany na hotay

Baharoon ki nazik hakikat na Hoti


Jabenoon py noor_e_mussarat khelta

Nagahoon ma shan_e_muravat na Hoti 


Ghation ki amad ko savan tarasty

Fazion ma beheki baghavat na Hoti


Faqeroon ko irfan_e_hansti na milta 

Atta zahidoon ko abadat na Hoti 


Musafir sada manzalo ma bathakty 

Safeno ko Sahil ki qurbat na Hoti 


Har aik phul ka rang pheka sa rehata 

Naseem_e_baharan ma nahakat na Hoti 


Khudiay ka insaf khamosh rehata

Suna ha Kise ki shafaat na Hoti 

___________________________________

3..Dill Lagi


Agar anso na hotay ankho ma

To ankhain itni khubsorat na Hoti 


Agr Dard na hota dill ma 

To Khushi ki Koy qimat na Hoti 


Agar baiwafii na Hoti zindgi ma 

To wafa ki kabi chahat na Hoti 


Agar sochany se pori ho jati muradain 

To Dua ki kabi zurart na Hoti

Comments

Popular posts from this blog

Sheikh Hasina | Bangladesh Prime Minaster | Face many deficulties | Brave Leader

Tik tok | USA | Monitization trick | Like tricks | USA tik tok | Tik tok United States

Urdu Poetry | Sad Ghazal | Jazbat k sath khelna | Muj se ghalti ho gya |